Anwar Masood

ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
ishāratoñ kī vo sharheñ vo tajziya bhī gayā
jo gird-e-matn banā thā vo hāshiya bhī gayā
vo dil-rubā se jo sapne the le uḌiiñ nīndeñ
dhanak-nagar se vo dhundlā sā rābta bhī gayā
ajiib lutf thā nādāniyoñ ke aalam meñ
samajh meñ aa.iiñ to bātoñ kā vo maza bhī gayā
hameñ bhī banñe sañvarne kā dhyān rahtā thā
vo ek shaḳhs ki thā ek ā.īna bhii, gayā
baḌā sukūn milā aaj us ke milne se
chalo ye dil se tavaqqo.a kā vasvasa bhī gayā
guloñ ko dekh ke ab raakh yaad aatī hai
ḳhayāl kā vo suhānā talāzima bhī gayā
musāfirat pe maiñ teshe ke sañg niklā thā
jidhar gayā huuñ mire saath rāsta bhī gayā
hameñ to ek nazar nashr kar ga.ī 'anvar'
hamāre haath se dil kā musavvada bhī gayā
Top Urdushayar.com