jo dhuup kī taptī huī sāñsoñ se bachī soch
phir chāñdnī-rātoñ meñ baḌī der jalī soch
ārām se ik lamha bhī jiinā nahīñ mumkin
har vaqt mire zehn meñ rahtī hai na.ī soch
is shahr meñ aatā hai nazar har koī apnā
āvāz kise duuñ mujhe rahtī hai yahī soch
dukh-dard kā maarā hī koī samjhegā ham ko
ham tak na pahuñch pā.egī nāzoñ kī palī soch