Anwar Masood

dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
dard baḌhtā hī rahe aisī davā de jaao
kuchh na kuchh merī vafāoñ kā salā de jaao
yuuñ na jaao ki maiñ ro bhī na sakūñ furqat meñ
merī rātoñ ko sitāroñ kī ziyā de jaao
ek baar aao kabhī itne achānak-pan se
nā-umīdī ko tahayyur kī sazā de jaao
dushmanī kā koī pairāya-e-nādir DhūñDo
jab bhī aao mujhe jiine kī duā de jaao
vahī iḳhlās-o-muravvat kī purānī tohmat
dosto koī to ilzām nayā de jaao
koī sahrā bhī agar raah meñ aa.e 'anvar'
dil ye kahtā hai ki ik baar sadā de jaao
Top Urdushayar.com