Anwar Masood

main jurm-e-KHamoshi ki safai nahin deta

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
maiñ jurm-e-ḳhamoshī kī safā.ī nahīñ detā
zālim use kahiye jo duhā.ī nahīñ detā
kahtā hai ki āvāz yahīñ chhoḌ ke jaao
maiñ varna tumheñ izn-e-rihā.ī nahīñ detā
charke bhī lage jaate haiñ dīvār-e-badan par
aur dast-e-sitam-gar bhī dikhā.ī nahīñ detā
āñkheñ bhī haiñ rastā bhī charāġhoñ kī ziyā bhī
sab kuchh hai magar kuchh bhī sujhā.ī nahīñ detā
ab apnī zamīñ chāñd ke mānind hai 'anvar'
boleñ to kisī ko bhī sunā.ī nahīñ detā
Top Urdushayar.com