kyuuñ kisī aur ko dukh dard sunā.ūñ apne
apnī āñkhoñ se bhī maiñ zaḳhm chhupā.ūñ apne
maiñ to qaa.em huuñ tire ġham kī badaulat varna
yuuñ bikhar jā.ūñ ki ḳhud haath na aa.uuñ apne
sher logoñ ke bahut yaad haiñ auroñ ke liye
tū mile to maiñ tujhe sher sunā.ūñ apne
tere raste kā jo kāñTā bhī mayassar aa.e
maiñ use shauq se collar par sajā.ūñ apne
sochtā huuñ ki bujhā duuñ meñ ye kamre kā diyā
apne saa.e ko bhī kyuuñ saath jagā.ūñ apne
us kī talvār ne vo chaal chalī hai ab ke
paañv kaTte haiñ agar haath bachā.ūñ apne
āḳhirī baat mujhe yaad hai us kī 'anvar'
jaane vaale ko gale se na lagā.ūñ apne