ab kahāñ aur kisī chiiz kī jā rakkhī hai
dil meñ ik terī tamannā jo basā rakkhī hai
sar-ba-kaf maiñ bhī huuñ shamshīr-ba-kaf hai tū bhī
tū ne kis din pe ye taqrīb uThā rakkhī hai
dil sulagtā hai tire sard ravayye se mirā
dekh is barf ne kyā aag lagā rakkhī hai
aa.ina dekh zarā kyā maiñ ġhalat kahtā huuñ
tū ne ḳhud se bhī koī baat chhupā rakkhī hai
jaise tū hukm kare dil mirā vaise dhaḌke
ye ghaḌī tere ishāroñ se milā rakkhī hai
mutma.in mujh se nahīñ hai jo ra.ī.yat merī
ye mirā taaj rakhā hai ye qabā rakkhī hai
gauhar-e-ashk se ḳhālī nahīñ āñkheñ 'anvar'
yahī pūñjī to zamāne se bachā rakkhī hai