shikva-e-gardish-e-hālāt liye phirtā hai
jis ko dekho vo yahī baat liye phirtā hai
us ne paikar meñ na Dhalne kī qasam khaa.ī hai
aur mujhe shauq-e-mulāqāt liye phirtā hai
shāḳhcha TuuT chukā kab kā shajar se lekin
ab bhī kuchh sūkhe hue paat liye phirtā hai
sochiye jism hai ab ruuh se kaise rūThe
apne saa.e ko bhī jo saat liye phirtā hai
āsmāñ apne irādoñ meñ magan hai lekin
aadmī apne ḳhayālāt liye phirtā hai
partav-e-mahr se hai chāñd kī jhilmil 'anvar'
apne kaase meñ ye ḳhairāt liye phirtā hai