Anwar Masood

kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
kab ziyā-bār tirā chehra-e-zebā hogā
kyā jab āñkheñ na raheñgī to ujālā hogā
mashġhala us ne ajab sauñp diyā hai yaaro
umr bhar sochte rahiye ki vo kaisā hogā
jaane kis rañg se rūThegī tabī.at us kī
jaane kis Dhañg se ab us ko manānā hogā
is taraf shahr udhar Duub rahā thā sūraj
kaun sailāb ke manzar pe na royā hogā
yahī andāz-e-tijārat hai to kal kā tājir
barf ke baaT liye dhuup meñ baiThā hogā
dekhnā haal zarā ret kī dīvāroñ kā
jab chalī tez havā ek tamāshā hogā
āstīnoñ kī chamak ne hameñ maarā 'anvar'
ham to ḳhanjar ko bhī samjhe yad-e-baizā hogā
Top Urdushayar.com