Anwar Masood

bas yunhi ek wahm sa hai waqia aisa nahin

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
bas yūñhī ik vahm sā hai vāqi.a aisā nahīñ
aa.ine kī baat sachchī hai ki maiñ tanhā nahīñ
baiThiye peḌoñ kī utran kā alaav tāpiye
barg-e-sozāñ ke sivā darvesh kuchh rakhtā nahīñ
uf chaTaḳhne kī sadā se kis qadar Dartā huuñ maiñ
kitnī bāteñ haiñ ki dānista jinheñ sochā nahīñ
apnī apnī sab kī āñkheñ apnī apnī ḳhvāhisheñ
kis nazar meñ jaane kyā jachtā hai kyā jachtā nahīñ
chain kā dushman huā ik mas.ala merī taraf
us ne kal dekhā thā kyuuñ aur aaj kyuuñ dekhā nahīñ
ab jahāñ le jaa.e mujh ko jaltī-bujhtī aarzū
maiñ bhī is jugnū kā pīchhā chhoḌne vaalā nahīñ
kaisī kaisī pursisheñ 'anvar' rulātī haiñ mujhe
ketiyoñ se kyā kahūñ maiñ abr kyuuñ barsā nahīñ
Top Urdushayar.com