merī qismat ki vo ab haiñ mire ġham-ḳhvāroñ meñ
kal jo shāmil the tire hāshiya-bardāroñ meñ
zahr ījād karo aur ye paiham socho
zindagī hai ki nahīñ dūsre sayyāroñ meñ
kitne aañsū haiñ ki palkoñ pe nahīñ aa sakte
kitnī ḳhabreñ haiñ jo chhaptī nahīñ aḳhbāroñ meñ
ab to dariyā kī tabī.at bhī hai girdāb-pasand
aur vo pahlī sī sakat bhī nahīñ patvāroñ meñ
aap ke qasr kī jānib koī dekhe tauba
jurm sābit ho to chun dījiye dīvāroñ meñ
aaj tahzīb ke tevar bhī haiñ caroñ jaise
dafan ho jaa.e na kal apne hī ambāroñ meñ
apnī āvāz ko bhī kaan taraste haiñ mire
jins-e-guftār liye phirtā huuñ bāzāroñ meñ
tohmateñ hazrat-e-insāñ pe na dhariye 'anvar'
dushmanī hai ki chalī aatī hai talvāroñ meñ