Anwar Masood

kaisi kaisi aayaten mastur hain nuqte ke bich

Anwar Masood

Gujrat, Punjab, Pakistan

1935
kaisī kaisī āyateñ mastūr haiñ nuqte ke biich
kyā ghane jañgal chhupe baiThe haiñ ik daane ke biich
rafta rafta raḳhna raḳhna ho ga.ī miTTī kī geñd
ab ḳhalījoñ ke sivā kyā rah gayā naqshe ke biich
maiñ to bāhar ke manāzir se abhī fāriġh nahīñ
kyā ḳhabar hai kaun se asrār haiñ parde ke biich
ai dil-e-nādāñ kisī kā rūThnā mat yaad kar
aan Tapkegā koī aañsū bhī is jhagḌe ke biich
saare aḳhbāroñ meñ dekhūñ haal apne burj kā
ab mulāqāt us se hogī kaun se hafte ke biich
maiñ ne 'anvar' is liye bāñdhī kalā.ī par ghaḌī
vaqt pūchheñge ka.ī mazdūr bhī raste ke biich
Top Urdushayar.com