vo pahle andhe kueñ meñ girā.e jaate haiñ
jo sañg shīshe ke ghar meñ sajā.e jaate haiñ
ajiib rasm hai yaaro tumhārī mahfil meñ
diye jalāne se pahle bujhā.e jaate haiñ
hamārī soch ne karvaT ye kaisī badlī hai
ham apnī aag meñ ḳhud ko jalā.e jaate haiñ
baḌā hī zor hai is baar meñh ke qatroñ meñ
ki pattharoñ pe bhī ghaav lagā.e jaate haiñ
na.e tarīq se barsāt ab ke aa.ī hai
ki log ret ke ghar bhī banā.e jaate haiñ
hamārī raakh se uTThegā ik nayā insāñ
isī ḳhayāl se ḳhud ko jalā.e jaate haiñ
kisī shajar se koī saañp gir ke kaaT na le
ham aaj aag saroñ par uThā.e jaate haiñ
jo diip apne lahū se jalā.e the ham ne
vo ek phūñk se un ko bujhā.e jaate haiñ
hamārā jism hai saa.e meñ dhuup sar par hai
baḌe hunar se vo rauzan banā.e jaate haiñ
kuchh aise 'faḳhr' chaman kā nizām badlā hai
baġhair aab ke paude ugaa.e jaate haiñ