kisī kī yaad hai aur hasratoñ kā mātam hai
bahut dinoñ se lagātār aañkh pur-nam hai
ho zard zard na kyuuñ sham.a kī ziyā yaaro
ki us ko apne pighalne kā jāñ-gusil ġham hai
ġham-o-alam kā bhī ehsās ab nahīñ hotā
shu.ūr-o-fikr-o-nazar kā ajiib aalam hai
lahū jalāo kuchh us meñ ki raushnī to baḌhe
charāġh-e-bazm sar-e-shām hī se maddham hai
bachī hai ḳham meñ jo vo 'faḳhr' hai mirā hissa
ki mere jaam hī meñ dūsroñ se mai kam hai