ye buzdilī thī hamārī bahādurī na huī
hazār chāhā magar phir bhī ḳhud-kushī na huī
kuchh is tarah se ḳhayāloñ kī raushnī phailī
tumhārī zulf bhī bikhrī to tīrgī na huī
ye be-hisī thī rag-o-pai meñ apne vasl kī shab
hasīn paas rahe ham se dil-lagī na huī
vo tīrgī thī musallat fazā-e-ālam par
lahū ke diip jale phir bhī raushnī na huī
kisī ke dard ko maiñ jāntā bhalā kyuuñ kar
ḳhud apne dard se jab mujh ko āgahī na huī
pukāreñ 'faḳhr' kise dām-o-dad kise insāñ
jahāñ meñ ham ko to itnī tamīz bhī na huī