shab-e-māhtāb ne shah-nashīñ pe ajiib gul sā khilā diyā
mujhe yuuñ lagā kisī haath ne mire dil pe tiir chalā diyā
koī aisī baat zarūr thī shab-e-va.ada vo jo na aa sakā
koī apnā vahm thā darmiyāñ yā ghaTā ne us ko Darā diyā
yahī aan thī mirī zindagī lagī aag dil meñ to uf na kī
jo jahāñ meñ koī na kar sakā vo kamāl kar ke dekhā diyā
ye jo laal rañg patañg kā sar-e-āsmāñ hai uḌā huā
ye charāġh dast-e-hinā kā hai jo havā meñ us ne jalā diyā
mire paas aisā tilism hai jo ka.ī zamānoñ kā ism hai
use jab bhī sochā bulā liyā use jo bhī chāhā banā diyā