jab bhī ghar kī chhat par jaa.eñ naaz dikhāne aa jaate haiñ
kaise kaise log hamāre jī ko jalāne aa jaate haiñ
din bhar jo sūraj ke Dar se galiyoñ meñ chhup rahte haiñ
shaam aate hī āñkhoñ meñ vo rañg purāne aa jaate haiñ
jin logoñ ne un kī talab meñ sahrāoñ kī dhuul uḌaa.ī
ab ye hasīñ un kī qabroñ par phuul chaḌhāne aa jaate haiñ
kaun sā vo jaadū hai jis se ġham kī añdherī sard guphā meñ
laakh nisā.ī saañs diloñ ke rog miTāne aa jaate haiñ
ze ke reshmī rumāloñ ko kis kis kī nazroñ se chhupā.eñ
kaise haiñ vo log jinheñ ye raaz chhupāne aa jaate haiñ
ham bhī 'munīr' ab duniyā-dārī kar ke vaqt guzāreñge
hote hote jiine ke bhī laakh bahāne aa jaate haiñ