Muneer Niyazi

dasht-e-baran ki hawa se phir hara sa ho gaya

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
dasht-e-bārāñ kī havā se phir harā sā ho gayā
maiñ faqat ḳhushbū se us kī tāza-dam sā ho gayā
us ke hone se huā paidā ḳhayāl-e-jāñ-fazā
jaise ik murda zamīñ meñ baaġh paidā ho gayā
phir havā-e-ishq se āshuftagī ḳhūbāñ meñ hai
in dinoñ meñ husn bhī āzār jaisā ho gayā
hai kahīñ mahsūr shāyad vo haqīqat ahd kī
jis kā rasta dekhte itnā zamāna ho gayā
ġham rahā hai haal kahnā dil kā us but se 'munīr'
jis ke ġham meñ apne dil kā haal aisā ho gayā
Top Urdushayar.com