kisī ko apne amal kā hisāb kyā dete
savāl saare ġhalat the javāb kyā dete
ḳharāb sadiyoñ kī be-ḳhvābiyāñ thiiñ āñkhoñ meñ
ab in be-ant ḳhalāoñ meñ ḳhvāb kyā dete
havā kī tarah musāfir the dilbaroñ ke dil
unheñ bas ek hī ghar kā azaab kyā dete
sharāb dil kī talab thī shara ke pahre meñ
ham itnī tañgī meñ us ko sharāb kyā dete
'munīr' dasht shurūa se sarāb-āsā thā
is aa.ine ko tamannā kī aab kyā dete