Muneer Niyazi

apna to ye kaam hai bhai dil ka KHun bahate rahna

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
apnā to ye kaam hai bhaa.ī dil kā ḳhuun bahāte rahnā
jaag jaag kar in rātoñ meñ sher kī aag jalāte rahnā
apne gharoñ se duur banoñ meñ phirte hue āvāra logo
kabhī kabhī jab vaqt mile to apne ghar bhī jaate rahnā
raat ke dasht meñ phuul khile haiñ bhūlī-bisrī yādoñ ke
ġham kī tez sharāb se un ke tīkhe naqsh miTāte rahnā
ḳhushbū kī dīvār ke pīchhe kaise kaise rañg jame haiñ
jab tak din kā sūraj aa.e us kā khoj lagāte rahnā
tum bhī 'munīr' ab un galiyoñ se apne aap ko duur hī rakhnā
achchhā hai jhūTe logoñ se apnā-āp bachāte rahnā
Top Urdushayar.com