be-ḳhayālī meñ yūñhī bas ik irāda kar liyā
apne dil ke shauq ko had se ziyāda kar liyā
jānte the donoñ ham us ko nibhā sakte nahīñ
us ne va.ada kar liyā maiñ ne bhī va.ada kar liyā
ġhair se nafrat jo pā lī ḳharch ḳhud par ho ga.ī
jitne ham the ham ne ḳhud ko us se aadhā kar liyā
shaam ke rañgoñ meñ rakh kar saaf paanī kā gilās
āb-e-sāda ko harīf-e-rañg-e-bāda kar liyā
hijratoñ kā ḳhauf thā yā pur-kashish kohna maqām
kyā thā jis ko ham ne ḳhud dīvār-e-jāda kar liyā
ek aisā shaḳhs bantā jā rahā huuñ maiñ 'munīr'
jis ne ḳhud par band husn o jaam o baada kar liyā