ḳhumār-e-shab meñ use maiñ salām kar baiThā
jo kaam karnā thā mujh ko vo kaam kar baiThā
qabā-e-zard pahan kar vo bazm meñ aayā
gul-e-hinā ko hathelī meñ thaam kar baiThā
chhupā gayā thā mohabbat kā raaz maiñ to magar
vo bhol-pan meñ suḳhan dil kā aam kar baiThā
jo so ke uTThā to rasta ujaaḌ lagtā thā
pahuñchnā thā mujhe manzil pe shaam kar baiThā
thakan safar kī badan shal sā kar ga.ī hai 'munīr'
burā kiyā jo safar meñ qayām kar baiThā