zindagī ko nā-murādī se koī shikva nahīñ
ab agar patthar se Takrā.ūñ to sar phahTtā nahīñ
pī rahī hai qatra qatra mere ḳhvāboñ kā lahū
maiñ huuñ duniyā ke liye mere liye duniyā nahīñ
miT chuke haiñ dil se yuuñ hālāt ke dhuñdle nuqūsh
jis tarah guzrā huā lamha kabhī aatā nahīñ
bhuuk khetoñ meñ khaḌī hai jeb meñ mahñgā.ī-band
shahr aur bāzār meñ gallā kahīñ miltā nahīñ
apne pahlū meñ sameTe ho ġham-e-hastī kā nuur
aisā koī falsafa insān ko miltā nahīñ
koī paiġhām-e-tamannā koī paiġhām-e-amal
sirf kah dene se to duniyā meñ kuchh hotā nahīñ
koī ro.e yā hañse 'parvāz' mujh ko ġham nahīñ
maiñ to zinda huuñ mirā ehsās-e-dil zinda nahīñ