shab-e-visāl meñ duurī kā ḳhvāb kyuuñ aayā
kamāl-e-fat.h meñ ye Dar kā baab kyuuñ aayā
diloñ meñ ab ke baras itne vahm kyuuñ jaage
bilād-e-sabr meñ ab iztirāb kyuuñ aayā
hai aag gul pe ajab is bahār-e-guzrāñ meñ
chaman meñ ab ke gul-e-be-hisāb kyuuñ aayā
agar vahī thā to ruḳh pe vo be-ruḳhī kyā thī
zarā se hijr meñ ye inqalāb kyuuñ aayā
bas ek hogā tamāshā tamām samtoñ par
mirī sadā ke safar meñ sarāb kyuuñ aayā
maiñ ḳhush nahīñ huuñ bahut duur us se hone par
jo maiñ nahīñ thā to us par shabāb kyuuñ aayā
uḌā hai shola-e-barq abr kī fasīloñ par
ye is balā ke muqābil sahāb kyuuñ aayā
yaqīn kis liye us par se uTh gayā hai 'munīr'
tumhāre sar pe ye shak kā azaab kyuuñ aayā