bas ek māh-e-junūñ-ḳhez kī ziyā ke sivā
nagar meñ kuchh nahīñ baaqī rahā havā ke sivā
hai ek aur bhī sūrat kahīñ mirī hī tarah
ik aur shahr bhī hai qarya-e-sadā ke sivā
ik aur samt bhī hai us se jā ke milne kī
nishān aur bhī hai ek nishān-e-pā ke sivā
zavāl-e-asr hai kuufe meñ aur gadāgar haiñ
khulā nahīñ koī dar bāb-e-iltijā ke sivā
makān-e-zar lab-e-goyā had-e-sipahr-o-zamīñ
dikhā.ī detā hai sab kuchh yahāñ ḳhudā ke sivā
mirī hī ḳhvāhisheñ baa.is haiñ mere ġham kī 'munīr'
azaab mujh pe nahīñ harf-e-mudda.ā ke sivā