pī lī to kuchh pata na chalā vo surūr thā
vo us kā saaya thā ki vahī rashk-e-hūr thā
kal maiñ ne us ko dekhā to dekhā nahīñ gayā
mujh se bichhaḌ ke vo bhī bahut ġham se chuur thā
royā thā kaun kaun mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
maiñ us ghaḌī vatan se ka.ī miil duur thā
shām-e-firāq aa.ī to dil Dūbne lagā
ham ko bhī apne aap pe kitnā ġhurūr thā
chehra thā yā sadā thī kisī bhūlī yaad kī
āñkheñ thiiñ us kī yaaro ki dariyā-e-nūr thā
niklā jo chāñd aa.ī mahak tez sī 'munīr'
mere sivā bhī baaġh meñ koī zarūr thā