raushnī dar raushnī hai us taraf
zindagī dar zindagī hai us taraf
jin azāboñ se guzarte haiñ yahāñ
un azāboñ kī nafī hai us taraf
ik rihā.ish ḳhvāhish-e-dil kī tarah
ik numā.ish ḳhvāb kī hai us taraf
jo bikhar kar rah gayā hai is jagah
husn kī ik shakl bhī hai us taraf
justujū jis kī yahāñ par kī 'munīr'
us se milne kī ḳhushī hai us taraf