Muneer Niyazi

misal-e-sang khaDa hai usi hasin ki tarah

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
misāl-e-sañg khaḌā hai usī hasīñ kī tarah
makāñ kī shakl bhī dekho dil-e-makīñ kī tarah
mulā.emat hai añdhere meñ us kī sāñsoñ se
damak rahī haiñ vo āñkheñ hare nagīñ kī tarah
navāh-e-qarya hai sunsān shām-e-sarmā meñ
kisī qadīm zamāne kī sar-zamīñ kī tarah
zamīn duur se taarā dikhā.ī detī hai
rukā hai us pe qamar chashm-e-sair-bīñ kī tarah
fareb detī hai vus.at nazar kī ufuqoñ par
hai koī chiiz vahāñ sehr-e-nīlmīñ kī tarah
'munīr' ahd hai ab āḳhir-e-masāfat kā
ki chal rahī hai havā bād-e-vāpsīñ kī tarah
Top Urdushayar.com