us samt mujh ko yaar ne jaane nahīñ diyā
ik aur shahr-e-yār meñ aane nahīñ diyā
kuchh vaqt chāhte the ki socheñ tire liye
tū ne vo vaqt ham ko zamāne nahīñ diyā
manzil hai us mahak kī kahāñ kis chaman meñ hai
us kā pata safar meñ havā ne nahīñ diyā
rokā anā ne kāvish-e-be-sūd se mujhe
us but ko apnā haal sunāne nahīñ diyā
hai jis ke ba.ad ahd-e-zavāl-āshnā 'munīr'
itnā kamāl ham ko ḳhudā ne nahīñ diyā