hañsī chhupā bhī gayā aur nazar milā bhī gayā
ye ik jhalak kā tamāshā jigar jalā bhī gayā
uThā to jā bhī chukā thā ajiib mehmāñ thā
sadā.eñ de ke mujhe niiñd se jagā bhī gayā
ġhazab huā jo añdhere meñ jal uThī bijlī
badan kisī kā tilismāt kuchh dikhā bhī gayā
na aayā koī lab-e-bām shaam Dhalne lagī
vufūr-e-shauq se āñkhoñ meñ ḳhuun aa bhī gayā
havā thī gahrī ghaTā thī hinā kī ḳhushbū thī
ye ek raat kā qissa lahū rulā bhī gayā
chalo 'munīr' chaleñ ab yahāñ raheñ bhī to kyā
vo sañg-dil to yahāñ se kahīñ chalā bhī gayā