dil jal rahā thā ġham se magar naġhma-gar rahā
jab tak rahā maiñ saath mire ye hunar rahā
sub.h-e-safar kī raat thī taare the aur havā
saayā sā ek der talak baam par rahā
merī sadā havā meñ bahut duur tak ga.ī
par maiñ bulā rahā thā jise be-ḳhabar rahā
guzrī hai kyā maze se ḳhayāloñ meñ zindagī
duurī kā ye tilism baḌā kārgar rahā
ḳhauf āsmāñ ke saath thā sar par jhukā huā
koī hai bhī yā nahīñ hai yahī dil meñ Dar rahā
us āḳhirī nazar meñ ajab dard thā 'munīr'
jaane kā us ke rañj mujhe umr bhar rahā