ye aañkh kyuuñ hai ye haath kyā hai
ye din hai kyā chiiz raat kyā hai
firāq-e-ḳhurshīd-o-māh kyuuñ hai
ye un kā aur merā saath kyā hai
gumāñ hai kyā is sanam-kade par
ḳhayāl-e-marg-o-hayāt kyā hai
fuġhāñ hai kis ke liye diloñ meñ
ḳharosh-e-dariyā-e-zāt kyā hai
falak hai kyuuñ qaid-e-mustaqil meñ
zamīñ pe harf-e-najāt kyā hai
hai kaun kis ke liye pareshāñ
pata to de asal baat kyā hai
hai lams kyuuñ rā.egāñ hamesha
fanā meñ ḳhauf-e-sabāt kyā hai
'munīr' is shahr-e-ġham-zadā par
tirā ye sehar-e-nashāt kyā hai