raat itnī jā chukī hai aur sonā hai abhī
is nagar meñ ik ḳhushī kā ḳhvāb bonā hai abhī
kyuuñ diyā dil us but-e-kamsin ko aise vaqt meñ
dil sī shai jis ke liye bas ik khilaunā hai abhī
aisī yādoñ meñ ghire haiñ jin se kuchh hāsil nahīñ
aur kitnā vaqt un yādoñ meñ khonā hai abhī
jo huā honā hī thā so ho gayā hai dosto
daaġh is ahd-e-sitam kā dil se dhonā hai abhī
ham ne khilte dekhnā hai phir ḳhayabān-e-bahār
shahr ke atrāf kī miTTī meñ sonā hai abhī
baiTh jaa.eñ sāya-e-dāmān-e-ahmad meñ 'munīr'
aur phir socheñ vo bāteñ jin ko honā hai abhī