koī had nahīñ hai kamāl kī
koī had nahīñ hai jamāl kī
vahī qurb o duur kī manzileñ
vahī shaam ḳhvāb-o-ḳhayāl kī
na mujhe hī us kā pata koī
na use ḳhabar mire haal kī
ye javāb merī sadā kā hai
ki sadā hai us ke savāl kī
ye namāz-e-asr kā vaqt hai
ye ghaḌī hai din ke zavāl kī
vo qayāmateñ jo guzar ga.iiñ
thiiñ amānateñ ka.ī saal kī
hai 'munīr' terī nigāh meñ
koī baat gahre malāl kī