Muneer Niyazi

saat-e-hijran hai ab kaise jahanon mein rahun

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
sā.at-e-hijrāñ hai ab kaise jahānoñ meñ rahūñ
kin ilāqoñ meñ basūñ maiñ kin makānoñ meñ rahūñ
ek dasht-e-lā-makāñ phailā hai mere har taraf
dasht se niklūñ to jā kar kin Thikānoñ meñ rahūñ
ilm hai jo paas mere kis jagah ifshā karūñ
yā abad tak is ḳhabar ke rāz-dānoñ meñ rahūñ
vasl kī shām-e-siyah us se pare ābādiyāñ
ḳhvāb daa.im hai yahī maiñ jin zamānoñ meñ rahūñ
ye safar ma.alūm kā ma.alūm tak hai ai 'munīr'
maiñ kahāñ tak in hadoñ ke qaid-ḳhānoñ meñ rahūñ
Top Urdushayar.com