be-haqīqat dūriyoñ kī dāstāñ hotī ga.ī
ye zamīñ misl-e-sarāb-e-āsmāñ hotī ga.ī
kis ḳharābī meñ huā paidā jamāl-e-zindagī
asl kis naql-e-makāñ meñ rā.egāñ hotī ga.ī
tañgī-e-imroz meñ ā.inda ke āsār haiñ
ek zid baḌh kar kisī sukh kā nishāñ hotī ga.ī
dūsre ruḳh kā pata jis ko thā vo ḳhāmosh thā
vo kahānī bas isī ruḳh se bayāñ hotī ga.ī
ik sadā uTThī to ik aalam huā paidā 'munīr'
ik kalī mahkī to puurā gulsitāñ hotī ga.ī