ugā sabza dar-o-dīvār par āhista āhista
huā ḳhālī sadāoñ se nagar āhista āhista
ghirā bādal ḳhamoshī se ḳhizāñ-āsār bāġhoñ par
hile ThanDī havāoñ meñ shajar āhista āhista
bahut hī sust thā manzar lahū ke rañg laane kā
nishāñ āḳhir huā ye surḳh-tar āhista āhista
chamak zar kī use āḳhir makān-e-ḳhāk meñ laa.ī
banāyā saañp ne jismoñ meñ ghar āhista āhista
mire bāhar fasīleñ thiiñ ġhubār-e-ḳhāk-o-bārāñ kī
milī mujh ko tire ġham kī ḳhabar āhista āhista
'munīr' is mulk par aaseb kā saaya hai yā kyā hai
ki harakat tez-tar hai aur safar āhista āhista