ik ālam-e-hijrāñ hī ab ham ko pasand aayā
ye ḳhāna-e-vīrāñ hī ab ham ko pasand aayā
benām-o-nishāñ rahnā ġhurbat ke ilāqe meñ
ye shahr bhī dilkash thā tab ham ko pasand aayā
thā laal huā manzar sūraj ke nikalne se
vo vaqt thā vo chehra jab ham ko pasand aayā
hai qat-e-ta.alluq se dil ḳhush bhī bahut apnā
ik had hī banā lenā kab ham ko pasand aayā
aanā vo 'munīr' us kā be-ḳhauf-o-ḳhatar ham tak
ye turfa tamāshā bhī shab ham ko pasand aayā