is shahr-e-sañg-dil ko jalā denā chāhiye
phir us kī ḳhaak ko bhī uḌā denā chāhiye
miltī nahīñ panāh hameñ jis zamīn par
ik hashr us zamīñ pe uThā denā chāhiye
had se guzar ga.ī hai yahāñ rasm-e-qāherī
is dahr ko ab is kī sazā denā chāhiye
ik tez ra.ad jaisī sadā har makān meñ
logoñ ko un ke ghar meñ Darā denā chāhiye
gum ho chale ho tum to bahut ḳhud meñ ai 'munīr'
duniyā ko kuchh to apnā pata denā chāhiye