safar meñ hai jo azal se ye vo balā hī na ho
kivāḌ khol ke dekho kahīñ havā hī na ho
nigāh-e-ā.īna ma.alūm aks nā-mālūm
dikhā.ī detā hai jo asl meñ chhupā hī na ho
zamīñ ke gird bhī paanī zamīñ kī tah meñ bhī
ye shahr jam ke khaḌā hai jo tairtā hī na ho
na jā ki is se pare dasht-e-marg ho shāyad
palaTnā chāheñ vahāñ se to rāsta hī na ho
maiñ is ḳhayāl se jaatā nahīñ vatan kī taraf
ki mujh ko dekh ke us but kā jī burā hī na ho
kaTī hai jis ke ḳhayāloñ meñ umr apnī 'munīr'
mazā to jab hai ki us shoḳh ko patā hī na ho