jo mujhe bhulā deñge maiñ unheñ bhulā dūñgā
sab ġhurūr un kā maiñ ḳhaak meñ milā dūñgā
dekhtā huuñ sab shakleñ sun rahā huuñ sab bāteñ
sab hisāb un kā maiñ ek din chukā dūñgā
raushnī dikhā dūñgā in andher-nagroñ meñ
ik havā ziyāon kī chār-sū chalā dūñgā
be-misāl qariyoñ ke be-kanār bāġhoñ ke
apne ḳhvāb logoñ ke ḳhvāb meñ dikhā dūñgā
maiñ 'munīr' jā.ūñgā ek din use milne
us ke dar pe jā ke maiñ ek din sadā dūñgā