ik tez tiir thā ki lagā aur nikal gayā
maarī jo chīḳh rail ne jañgal dahal gayā
soyā huā thā shahr kisī saañp kī tarah
maiñ dekhtā hī rah gayā aur chāñd Dhal gayā
ḳhvāhish kī garmiyāñ thiiñ ajab un ke jism meñ
ḳhūbāñ kī sohbatoñ meñ mirā ḳhuun jal gayā
thī shaam zahr-e-rañg meñ Duubī huī khaḌī
phir ik zarā sī der meñ manzar badal gayā
muddat ke ba.ad aaj use dekh kar 'munīr'
ik baar dil to dhaḌkā magar phir sambhal gayā