is shahr ke yahīñ kahīñ hone kā rañg hai
is ḳhaak meñ kahīñ kahīñ sone kā rañg hai
pā.īñ chaman hai ḳhud-rav daraḳhtoñ kā jhunD sā
mehrāb-e-dar pe us ke na hone kā rañg hai
tūfān-e-abr-o-bād nihāñ sāhiloñ pe hai
dariyā kī ḳhāmushī meñ Dubone kā rañg hai
is ahd se vafā kā sila marg-e-rā.egāñ
us kī fazā meñ har ghaḌī khone kā rañg hai
hai sar-zamīn-e-shor ki ik chādar-e-safā
kaisā ajiib murda bichhaune kā rañg hai
surḳhī hai jo gulāb sī āñkhoñ meñ ai 'munīr'
ḳhār-e-bahār dil meñ chubhone kā rañg hai