sahn ko chamkā ga.ī beloñ ko giilā kar ga.ī
raat bārish kī falak ko aur niilā kar ga.ī
dhuup hai aur zard phūloñ ke shajar har raah par
ik ziyā-e-zahr sab saḌkoñ ko piilā kar ga.ī
kuchh to us ke apne dil kā dard bhī shāmil hī thā
kuchh nashe kī lahr bhī us ko surīlā kar ga.ī
baiTh kar maiñ likh gayā huuñ dard-e-dil kā mājrā
ḳhuun kī ik buuñd kāġhaz ko rañgīlā kar ga.ī