ek nagar ke naqsh bhulā duuñ ek nagar ījād karūñ
ek taraf ḳhāmoshī kar duuñ ek taraf ābād karūñ
manzil-e-shab jab tai karnī hai apne akele dam se hī
kis ke liye is jagah pe ruk kar din apnā barbād karūñ
bahut qadīm kā naam hai koī abr-o-havā ke tūfāñ meñ
naam jo maiñ ab bhuul chukā huuñ kaise us ko yaad karūñ
jā ke sunūñ āsār-e-chaman meñ saa.eñ saa.eñ shāḳhoñ kī
ḳhālī mahl ke burjoñ se dīdār-e-barq-o-bād karūñ
sher 'munīr' likhūñ maiñ uTh kar sehn-e-sahar ke rañgoñ meñ
yā phir kaam ye nazm-e-jahāñ kā shaam Dhale ke ba.ad karūñ