thī jis kī justujū vo haqīqat nahīñ milī
in bastiyoñ meñ ham ko rifāqat nahīñ milī
ab tak haiñ is gumāñ meñ ki ham bhī haiñ dahr meñ
is vahm se najāt kī sūrat nahīñ milī
rahnā thā us ke saath bahut der tak magar
in roz o shab meñ mujh ko ye fursat nahīñ milī
kahnā thā jis ko us se kisī vaqt meñ mujhe
is baat ke kalām kī mohlat nahīñ milī
kuchh din ke ba.ad us se judā ho ga.e 'munīr'
us bevafā se apnī tabī.at nahīñ milī