Muneer Niyazi

chand nikla hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
chāñd niklā hai sar-e-qarya-e-zulmat dekho
ho ga.ī kaisī siyah-ḳhānoñ kī rañgat dekho
sāmne jo hai use aañkh kā dhokā samjho
in dayāroñ ko sadā ḳhvāb kī sūrat dekho
sair hai jaise koii, aise jahāñ se guzro
duur tak phailā hai ik arsa-e-furqat dekho
zar kī parchhā.īñ jo paḌtī hai chamak uThtā hai
ādam-e-ḳhāk kī be-hoshī meñ hālat dekho
ḳhauf detā hai yahāñ abr meñ tanhā honā
shahr-e-dar-band meñ dīvāroñ kī kasrat dekho
saaya hai un pe bahut bhūlī huī yādoñ kā
shaam aa.ī hai parī-zādoñ meñ vahshat dekho
daaġh hai is ke na hone se diloñ meñ ab tak
uḌ gayā misl-e-sabā gul kī haqīqat dekho
jañgaloñ meñ koī pīchhe se bulā.e to 'munīr'
muḌ ke raste meñ kabhī us kī taraf mat dekho
Top Urdushayar.com