rahtā hai ik har us sā qadmoñ ke saath saath
chaltā hai dasht dasht-navardoñ ke saath saath
hāthoñ kā rabt harf-e-ḳhafī se ajiib hai
hilte haiñ haath raaz kī bātoñ ke saath saath
uThtī huī fasīl-e-fuġhāñ hadd-e-shahr par
galiyoñ kī chup qadīm makānoñ ke saath saath
sūraj kī aab zahar hai rañgoñ kī aab ko
hai duur tak buḳhār sā bāġhoñ ke saath saath
uryāñ huā hai maah shab-e-abr-o-bād meñ
jaise safed raushnī ġhāroñ ke saath saath
aayā huuñ maiñ 'munīr' kisī kaam ke liye
rahtā hai ik ḳhayāl sā ḳhvāboñ ke saath saath