hai us gul-rañg kā dīvār honā
ki jaise ḳhvāb se bedār honā
batātī hai mahak dast-e-hinā kī
kisī dar kā pas-e-dīvār honā
use rakhtā hai sahrāoñ meñ hairāñ
dil-e-shā.ir kā pur-asrār honā
kamāl-e-shauq kā hāsil yahī hai
hamārā shahr se be-zār honā
firāq āġhāz hai un sā.atoñ kā
hai āḳhir jin kā vasl-e-yār honā
yahī honā thā āḳhir dasht-e-ġham ko
hamāre haath se gulzār honā
mohabbat kā sabab hai be-niyāzī
kashish us kī hai bas dushvār honā
'munīr' achchhā nahīñ lagtā ye terā
kisī ke hijr meñ bīmār honā