ek maiñ aur itne lākhoñ silsiloñ ke sāmne
ek saut-e-guñg jaise gumbadoñ ke sāmne
miTte jaate naqsh dūd-e-dam kī aamad raft se
khulte jaate be-sadā lab ā.inoñ ke sāmne
hai havā-e-sair-e-āb aur ajnabī sī sar-zamīñ
uḌ rahī hai ḳhāk-e-kohna sāhiloñ ke sāmne
aag jaltī hai gharoñ meñ yā koī tasvīr hai
yādgār-e-jurm-e-ādam ḳhākiyoñ ke sāmne
dushmanī rasm-e-jahāñ hai dostī harf-e-ġhalat
aadmī tanhā khaḌā hai zālimoñ ke sāmne
chaar chup chīzeñ haiñ bahr-o-bar falak aur kohsār
dil dahal jaatā hai in ḳhālī jag.hoñ ke sāmne
bātin-e-zardār pur-asrār hai jaise 'munīr'
kān-e-zar kī band haibat mash.aloñ ke sāmne