merī saarī zindagī ko be-samar us ne kiyā
umr merī thī magar us ko basar us ne kiyā
maiñ bahut kamzor thā is mulk meñ hijrat ke ba.ad
par mujhe is mulk meñ kamzor-tar us ne kiyā
rāhbar merā banā gumrāh karne ke liye
mujh ko sīdhe rāste se dar-ba-dar us ne kiyā
shahr meñ vo mo'atabar merī gavāhī se huā
phir mujhe is shahr meñ nā-mo'tabar us ne kiyā
shahr ko barbād kar ke rakh diyā us ne 'munīr'
shahr par ye zulm mere naam par us ne kiyā